1) Time management Time management kitna jaruri hai wo to mujhe aapko batane ki jarurat nahi hai. Aap sabhi Time ki importance bahot ache se jaante hain. Time management ko leke mtlb ki apne din ko kaise manage kare ki aapke time ka jada se jada productive use ho sake, ispar detail me pichle blogs me baat ki hui hai aap waha se padh sakte hain. 2) Don’t Procrastinate Waise to Procrastination Time Management ka hi part hai, Pr ye topic khud apne aap me itna importat hai ki isko bhi alag se hi mention kiya hai. Sach kahu to mujhe procrastination aaj ki sabse badi bimari lagti hai, jiska shikaar aaj har koi hai. Apna har kaam time pr hi pura kar le, baad ke liye bilkul na chode. Kaam aage ke liye taalkar apne liye bewajah ki aur tension na badhae. Aapke jeevan ki aadhi mushkile aadhi tension to aise hi khatam ho aajaegi procrastinate na kar ke. 3) Learn to Say NO Jitna ki new opportunities ko haan bolna jaruri hai to kabhi kabhi na bolna bhi utna hi jaruri hai. Aapko apni priorities pata ...