Skip to main content

HOW TO PLAN YOUR DAY



Pichle 2 blogs me humne jana ki apni morning routine me thoda sa change laake apni productivity ko 10 times kaise badhaya jaye. Aur ab is blog me hum jaanenge ki apne din me kya kuch thode badlav laae jae jinse aap apni productivity ko 10 times badha ke apni productivity ka graph upar le jaae.
      To jaisa ki pichle blog me meine kaha tha ki apne din ko schedule karein. Usme kai logo ne pucha ki din ko schedule to karte hain time table banate hain hum, par follow nai ho pata. To aaj isi par baat hogi.
      Dekhiye sabse pehle to ye kehna band kijiye ki humse nahi hoga. Mein aksar ye dekhti hu ki ye line kehna logo ki adat ban chuki hai. Ab to mujhe aisa lagne laga hai ki kuch log khana khae bagair to jee sakte hain par khud ko kam aanke bina nahi. Ye kehne ke bajae ki mujhse nahi hoga ye kahe ki mujhse hoga, mein karke dekhungi/dekhunga, fir jo bhi ho, par dungi/dunga to apna best, uske baad jo bhi ho. Waise ye guaranteed hai ki, agar aap kisi kaam me apna best denge to wo 100 pratishat hoga hi hoga. Aur agar na bhi ho to ye mera vyada hai aapse kuch na kuch to jarur hoga jo ki itna badiya hoga, jo aapki zindagi puri tarah se badal dega.
      To baat karte hain ab apne din ko plan kaise kare. 
Aap 1 blank paper le aur 24 ghanto ko 1-1 ghante ke intervals me divide karke uspr likhe. Ab is din me aapko jo bhi kaam karne hain unko un time inervals ke aage likhle. Sab kuch likhe, kuch bhi dimag me na rakhein. Bade se bada kaam chote se chota kaam, sab likhe. aur sirf kaam hi nahi balki jaise morning routine, night routine, free time, family- frnds time, nap time etc, sab kuch likhe.
      Aur planning karte waqt kuch intervals khali jarur chod de, jisme agar koi naya kaam aajae jo aapko karna jaruri hai wo aap us samay me kar sakte hain. In slots ko aap ‘flex slots’ keh sakte hain (flexible time slot - taken from best selling book “The Last Book For Your Best Life”. 


  Affiliate Link : https://amzn.to/2QNiUfF

  Ab shayad aap ye kahein ki issey to hum machine ban jaenge, apne mann mutabik zindagi jeena hi to zindagi hai. Aise bandh ke jee kaise sakte hain. Mein aapki baat se bilkul sehmat hu. Par yakeen maaniye aise routine set karne se aap bandhenge nai, balki disciplined honge. Aap khud dekhiye na aap kitna time aise hi waste kardete hain bina kuch kare. Yaad kare ki aapne apne dosto se aisa nai kaha ki ‘yar kuch nahi kiya pura din aise hi nikal gaya’. Aur agar apne sone ke time ko hi dekhein, humare liye 5 ghante ki neend lena bahot hai, par humara youth subh ke 10-11 baje tak so raha hota hai. Hum kehte hain ki youth humare desh ka future hai, par yaha to youth so raha hai ya time waste kar rha hai kabhi social media pr to kabhi kahin par, mtlb humare desh ka future bhi so rha hai. Jo ab nahi jaaga to kab jaagega? 
      Jo log apne din ko aise plan karne ke bare me soch rahe hain wo log kam se kam 40 din tak issey follow jarur kare, kyuki koi bhi adat banne me kam se kam 40 din lagte hi hain. Uske baad ye aapki ye adat me aajaega. Aur wo pehla din aaj se hi shuru kare. Aur jaisa ki Kabir Dasji ne kaha bhi hai ki-  
                                “काल करे सो आज कर, आज करे सो अब। 
                                    पल में प्रलय होएगी,बहुरि करेगा कब॥”
Now All The Best!! Muje aap sbko successful hote dekhna hai, aapki success me hi meri success hai. Milte hain next blog me.

Comments

  1. Casino Games Near Me | MapYRO
    Find the best casinos and get directions, reviews and information for casinos 창원 출장마사지 in 광양 출장마사지 Washington 사천 출장마사지 State. 경상남도 출장마사지 In-person 여수 출장샵 betting; Poker tables; Virtual reality

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

Sui Dhaga | Varun Dhawan & Anushka Sharma

Sui Dhaga film ka trailer 14 August 2018 ko world wide release hoga. Film ke promotion ke liye Dono kalakar joro shoro se taiyari kr rhe hai.Film 28 September 2018 ko bade parde pe Release hogi. Apko batana chahuga ye film Yash Raj film dwara produce ki gayi hai aur film me Varun Dhawan aur Anushka Sharma mukhe bhoomika me hai. Bataya jaa rha hai is film ko promote krne ke liye dono kalakar 10 se jyda shero me jake iska promotion krege. Ab dekna ye hoga ki ye film box-office pe kya kamaal dikhati hai. By - Rishabh Sunmoria

Embracing Unshakable Confidence: Your Path to Self-Assurance

Confidence – it's that radiant glow that empowers us to stride through life's twists and turns with unwavering self-assurance. But building such unshakable confidence isn't some elusive secret; it's a journey of self-discovery and personal growth. In this post, we'll unravel the human side of developing rock-solid confidence that springs from within. 1. Get to Know Yourself, Inside Out: Start by forging a genuine connection with yourself. Reflect on your quirks, strengths, and even the not-so-perfect parts. Recognize that embracing your true self is the cornerstone of authentic confidence – it's about celebrating your uniqueness. 2. Climb Those "Just Right" Mountains: Set achievable goals that stretch your capabilities but aren't towering challenges. Each small triumph fuels your confidence, reaffirming your ability to conquer the larger peaks. It's like collecting pebbles of accomplishment to build an unshakable foundation. 3. Keep the Flame ...

TYPE OF MIND PART - 2

Aaj ka blog TYPE OF MIND PART wale blog ka part 2 hai. Isko thoda dhyaan se read kriyega. Aaj ka topic apki life me bht kaam aane wala hai. Aaj me aapse un do minds ki baat krne wale hu jo admi ki zindagi ko ek dum transform kar sakte hai.  Toh phela mind hai POSSIBILITY MIND : Ye wo mind hai jo admi ko badi se badi problems me se bhi bahar nikal deta hai. Possibility mind rakne wala admi kabhi bhi problem pe focus nhi krta wo hamesha focus krta hai solutions pe ,wo focus krta hai possibilities pe ki kis trah se me is problem se me bahar nikalu. Wo bus raste dhundta rheta hai problem ko solve krne ke liye.Aur mind se chalne wala admi apni Zindagi me kabhi aasafal nahi hota hai. Kyuki iske liye problem ek opportunity hoti hai. Ishi mind set ke saat ye bade bade kaam krdeta hai apni life me. Ye mind rakne wala kabhi bhi apni life me stuck nhi hota hai. 2 - PERSISTENCE MIND Yesa mind rakne wale log bhi apne jeevan me kabhi haar te nhi hai setback aate hai , problems aati hai per ye lo...