Log aksar raat me der tak jaag kar kaam karna prefer karte hain. Unka manna ye hota hai ki raat me wo apne kaam me concentrate kar paate hain, jo ki kafi hadd tak thik bhi hai. Lekin iske 2 behad bade nuksaan bhi hain jo log aksar nazarandaaz kar dete hain.
Pehla yahi ki aap apni neend sacrifice kar rhe hain jo ki bilkul bhi sahi nahi hai. Ek complete proper sleep lena utna hi jaruri hai jitna ki kisi machine ki time to time proper servicing karana, ya ye kahein ki ussey bhi jyada. Kyuki aap koi machine nahin balki ek jeete jaagte insaan hain, jiski value ek machine se kai jada hai. Aur sirf itna hi nahin issey aapki body ki biological clock bhi disturb hoti hai, jiske apne alag kaafi nuksaan hain, khair ispr kisi aur ek blog me alag se detail me baat karenge.
Aur dusra ye ki raat me sirf aap hi nai balki aapke jaise aur bhi kai log jaag rhe hote hain. Aur is wajah se aapke phone me kisi na kisi baat ki notofications aati hi rehti hai, jo apki concentration power ko affect karti hai. Jo ki apke focusing power ke liye bhi sahi nai hai. Aur jo siddha-siddha apki productivity ko affect karta hai.
Ab baat karte hain Golden hours ki (4 am – 6 am). Best Seller renowned author Robin Sharma ne apni book “The 5 A.M Club” me kafi detail me subh ke time ki, aur bakio se sirf 1 ghanta extra kaam karne ki value batai hai. (aap agar detail me subh ke time aur bakio se sirf kuch samay jyada kaam karke kaisi apni productivity badhaai ja sakti hai, ye janna chaahte hain to aap is book ko jarur padhein.
Is Book ko padhne ke baad, aap sirf 1 ghanta extra kaam karne ki value jaanenge, aur mein yaha aapse Golden Hours for Productivity (2 ghante- 4am to 6 am) ki baat karrhi hu, sochiye ye aapki productivity ka graph kitna upar le jaenge. Jab sari duniya so rahi hogi tab aap aapne Goals k liye kaam kaam kar rhe honge. Aap in 2 ghanto ko kam na samjhein, ye sirf sunne me 2 ghante lagte hain par jab aap har roz consistency ke sath in Golden Hours ko utilize karenge, aap soch bhi nai sakte ki aapki life me kita bada change aaega.
Aur ab baat aati hai ki Golden Hours- in 2 ghanto ko inki full potential tak kaise utilize kiya jae. Is time ko sahi se utilize kiya to aapki productivity 10 times badh sakti hai, ya jitna aap chaahe utni. Ispar detail me next blog me baat hogi ki in golden hours ko kaise badiya tarike se utilize kiya jae taaki aap apni productivity 10 times badha sake aur aapki life ek pura 360 degree positive turn le.
Nicely written
ReplyDeleteJi is pr kaam kra jayega
ReplyDelete