Is Rule me unhone bataya hai ki koi bhi new habit hum kaise create kar sakte hai aur wo Habit ko create hone me kitna time lgta hai.
Robin Sharma sir ke hisab se koi bhi new Habit ko permanent hone me 66 Days ka samay lgta hai. Jinko mainly 22Days / 22Days / 22Days ke teen slots se hoke guzar na padta hai.
Robin sharma sir ke hisab se phele 22Days hote hai DISTRACTION ke : In 22 days me hum apni purani habits ko leave krne ki kosis krte hai.... Aur jo consistency ke saat ye kosis krta rheta hai ki meri ye ek particular aachi ya buri adat meri life se dur ho jaye uski ho bhi jati hai. Aur jinki dur nhi hoti uska sabse bata reason hai wo give up krdeta hai. Kyuki admi ko comfort zone me rhene ki adat padh jati hai. Wo salo ki adat 22 din me apni se dur krna aam admi ke liye impossible hi sabit hota hai. Isme phase me hume bht distraction face krna padega aur usse fight krni padegi tabhi hum new habit create kar payege.
Dusare slot ke 22Days me INTERACTION hota hai. In 22 dino me hume jo new habits dalni hoti hai hum usse interact krte hai aur uski practice krte hai. Bht se log is stage me bhi aake give up krdete hai. Yha pe hum dheere dheere apni new adat ko apni life me utarne ki kosis krte hai. Aur ye sab lagatar practice krne se hota hai. Consistency ka is kaam me bht bada role hai.
Teesare slot ke 22Days me jo humne new habits apne ander lae hoti hai wo hamare subconscious mind ke saat join ho jati hai. Ye wo stage hoti hai jb wo new adat hamari best friend bangyi hoti hai. Hum naa bhi chahe tab bhi wo habits hamara mind humse automatically karwa leta hai. And by chance agar ek din ye habits humse skip ho jaye toh hume yesa bhi feel hota hai ki aaj ke din me kuch kami si rhe gayi hai. Is stage me hamari new habits automatic form me aa jati hai.
Toh dosto ye tha Robin Sharma sir ka Habits installation protocol rule. I hope apko samaj aaya ho aur ap isse apni life me jarur apply krege. Aacha lage toh share krdi-jiyega.
Thank You
For Promotion/Collaboration : rishabhsunmoria@gmail.com
Comments
Post a Comment