Aaj ka blog aap logo ke liye bht khass hai. Agar aap instagram use krte hai aur ek popular Instagramer banna chahate hai. Toh aaj ka blog miss mat kriyega.
Aaj me apko batauga ki instgram ke hashtags kaise apki help kr sakte hai apki profile ki Growth increase karne me.
Sabse phle apko ye pata hona chaiye ki hum hashtags use hi kyu krte hai, iske kya faide hai, ye kis trah hamari growth me help krta hai. ?
Toh sabse phele ye jaan lo ap kitne bhi aache post krlo aur kitna bhi aacha content daal lo jb tak apki image ya content logo tak nhi Phuchega wo useless hai. Bina hashtags use kiye apka content apke followers tak hi pahuche. Ab har kisi ke pass lakho followers toh hai nhi toh wo apna content jayada logo tak kaise pahuchye...? Esi situation me hashtags apke liye kaam krega. Jo jo hashtags ap apne post me use kroge us us hasgtags me apka post visible ho jayega. And then waha ka crowd bhi apko dek sakhega. Ise ye hoga ki apke post or profile dono ki reach and visibility badegi impression badege + followers badne ke bhi kafi chances hai ab hazaro log dekhege toh follow bhi koi na koi krega hi.
Toh khul mila ke hashtags apki visibliy, Reach ko badne ke liye use kiye jate hai ki jyada se jyada account apko dekhe aur visit kre. Hashtags ka use badi profile ho ya chooti profile sab log krte hai kyuki bina hashtags ke apki growth impossible hai.
(Growth ek hi Chances me possible hai agar apka koi content VIRAL ho jaye toh)
Ab hashtags use krne ke bhi tareeke hote hai wo me apko neeche short me bata deta hu ap usee implement kariyega. Kuch hi time me apko results dikne Suru ho jayege. Condition ye hai ki apko ye kaam regular karna padega.
1- Use minimum 25 to 29 Hastags in per post. ( 29 se jyda mat krna coz insta isse jyda accept nhi karta )
2- Use Hastags in your caption area not in comment section
3- Use Popular & Active Hashtags
4- Use Hashtags related to you post
5- Create some Custom Hashtags
In 5 Points ko follow kro growth agle 1 week me khud dikne lag jayegi + apka page organically grow hoga. Organic growth thodi Slow hoti hai per results massive deti hai.
Apko is blog se related mujhe se koi questions krne ho toh comment section me puch lena sabko reply milega.
Thank You
Good notice bro
ReplyDelete