Vivo launch kr rha apni nayi style series ka phone Vivo S1. Iske box me aapko dekhne Ko milta h phone ke sath sath ek sunglasses jo ki ek face Ko pehnaye huye h, jo ki bhot hi cool representation h. Is phone me aapko dekhne Ko milte h 2 colours, ek h skyline blue and dusra h diamond black. Bat karei iske features ki to ye aata h android pie ke sath. Dusri bat ye h pehla phone jo ki humei dekhne Ko milta h Mediatek P65 ke sath me. Bat karei uske camera ki to front me aapko milta h 32 MP ka camera jo ki drop notch pe dekhne Ko milega. Rear me aapko triple camera available h, 16MP+8MP+5MP setup, kisse aap achhe achhe portraits and wide shots bhi le skte h. Isme humei 4500 maH ki battery mil jati h jo ki dual engine fast charging bhi support krta h, fir bhi is phone ka weight jyada nhi h jo ki h 179 Grams. Ab baat krte h iski display ki to isme milti h 6.38 inches ki screen size, jo ki h ek self-illuminating super AMOLED Halo fullView display. Aspect ratio dekhne Ko milta h 19.5:9 ka, jisme screen to body ratio milta h 90% tak, jiske sath humei dekhne Ko milta h in display fingerprint scanner. Baat karei iske variants ki to humei milte h teen variants, pehla h 4GB+128GB jo ki priced h 17,990₹ dusra h 6GB+64GB at 18,990₹ aur last h 6GB+128GB jo ki milega 19,990₹ me. Baat karei iski main highlight ki to vo h iska design. Iska back panel kaafi shiney and attractive look deta h. Iske andar humei oink and blue ki thhodi thodi shades dekhne Ko milti h. Iska jo camera panel h vo bhi kaafi premium look deta h. Uske bad baat krte h Jovi ki Jo h is phone ka AI aur ye kaafi achha h. Aapko isme ek dedicated smart button dekhne Ko mil jata h jisse aap directly Google assistant open kr skte h.
Baat krte h conclusion ki to his price range ke sath ye dekhne Ko milta h us hisab se bhot hi power packed device h. Achha hota agar isme humei type C port dekhne Ko milta Lekin badi battery and fast charging hone ki vajah se vo bhi cover up ho gya h. Mudde ki baat agar aapko Lena h ek Aisa phone jo ki kaafi stylish Lage aur de achhi performance to aap le sakte h vivo ka S1 smartphone. Ye aapko mil jayega 14 August se.
Thanks for reading, agar aapko koi doubt ho ya koi sujhav ho to aap neeche comment kr skte h.

Comments
Post a Comment