Skip to main content

20/20/20 PRINCIPAL

20 20 20 principal - robin sharma


Subha Uthte hi jo hamara phela hour hota hai use Robin Sharma sir Victory hour khete hai, kyuki is time hamara mind ek dum active and fresh hota hai aur yehi sahi samay hota hai use program krne ka.


Robin Sharma sir ne is Victory hour ko 3 slot me divide kiya hai 20 /20/20 mins ke aur in teeno slot me unhone alag alag tarah ke kaam humko krne ko bole hai, Toh chaliye phle 20 min slot se suru krte hai.

➡️20(Move)

Exercise and Deep breathing
isko krne se hamari body me dopamine & serotonin ka level badh jata hai, isse hamari body ki metabolic activity badh jati hai aur hamara immune system bhi strong hota hai. isse hamare beemar padne ke chance bhi kam ho jate hai aur hamara brain focus & optimum tareeke se kaam krta hai.

➡️20(Reflect)

Is 20 me hum 4 cheeze kar sakte hai (Journaling, meditation, prayer, Planing) isse hum positive rhe payege aur isse wisdom bhi develop hogi. Hum apni awareness ko feel kr payege. ye sab krne se hume shanti ka bhi yesaas hoga, thought bhi clear hoge jo baad me humari creativity aur performance ko badNe me hamari help krege.

➡️20(Grow)

Read Books , listen Podcast, see Goals and analysis them. Is 20 min me hume wo kaam krna hai jisse hume kuch naya sheekne ko mile aur ya phir use dekna ya padna hai jise hum pana chahate hai. 



Note : Ye principal hume Subha 5 baje uth kar khud pe apply krna hai. Ye concept mene Robin Sharma sir ki book The 5am Club se padha tha aur aap logo ke saat share kiya. I hope aap logo ke liye ye usefull sabit ho. 

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Sui Dhaga | Varun Dhawan & Anushka Sharma

Sui Dhaga film ka trailer 14 August 2018 ko world wide release hoga. Film ke promotion ke liye Dono kalakar joro shoro se taiyari kr rhe hai.Film 28 September 2018 ko bade parde pe Release hogi. Apko batana chahuga ye film Yash Raj film dwara produce ki gayi hai aur film me Varun Dhawan aur Anushka Sharma mukhe bhoomika me hai. Bataya jaa rha hai is film ko promote krne ke liye dono kalakar 10 se jyda shero me jake iska promotion krege. Ab dekna ye hoga ki ye film box-office pe kya kamaal dikhati hai. By - Rishabh Sunmoria

Embracing Unshakable Confidence: Your Path to Self-Assurance

Confidence – it's that radiant glow that empowers us to stride through life's twists and turns with unwavering self-assurance. But building such unshakable confidence isn't some elusive secret; it's a journey of self-discovery and personal growth. In this post, we'll unravel the human side of developing rock-solid confidence that springs from within. 1. Get to Know Yourself, Inside Out: Start by forging a genuine connection with yourself. Reflect on your quirks, strengths, and even the not-so-perfect parts. Recognize that embracing your true self is the cornerstone of authentic confidence – it's about celebrating your uniqueness. 2. Climb Those "Just Right" Mountains: Set achievable goals that stretch your capabilities but aren't towering challenges. Each small triumph fuels your confidence, reaffirming your ability to conquer the larger peaks. It's like collecting pebbles of accomplishment to build an unshakable foundation. 3. Keep the Flame ...

TYPE OF MIND PART - 2

Aaj ka blog TYPE OF MIND PART wale blog ka part 2 hai. Isko thoda dhyaan se read kriyega. Aaj ka topic apki life me bht kaam aane wala hai. Aaj me aapse un do minds ki baat krne wale hu jo admi ki zindagi ko ek dum transform kar sakte hai.  Toh phela mind hai POSSIBILITY MIND : Ye wo mind hai jo admi ko badi se badi problems me se bhi bahar nikal deta hai. Possibility mind rakne wala admi kabhi bhi problem pe focus nhi krta wo hamesha focus krta hai solutions pe ,wo focus krta hai possibilities pe ki kis trah se me is problem se me bahar nikalu. Wo bus raste dhundta rheta hai problem ko solve krne ke liye.Aur mind se chalne wala admi apni Zindagi me kabhi aasafal nahi hota hai. Kyuki iske liye problem ek opportunity hoti hai. Ishi mind set ke saat ye bade bade kaam krdeta hai apni life me. Ye mind rakne wala kabhi bhi apni life me stuck nhi hota hai. 2 - PERSISTENCE MIND Yesa mind rakne wale log bhi apne jeevan me kabhi haar te nhi hai setback aate hai , problems aati hai per ye lo...