Aaj ke is Blog me apko ek bht important method ke bare me pata chalne wala hai aur ho sakta hai is method ke bare me apko phele se pata ho ya apne kahi se suna ho, aaj jis method ki baat hum krne wale hai jayada tar start-up apne starting ke dino me ishi method ka use karke apne aap ko market me settle krte hai.
Aaj ke method ka naam hai BOOTSTRAPPING.
BOOTSTRAPPING ka sheeda matlb hota hai apne paiso se apna business start krna aur usse jo bhi revenue generate ho ushe dubara ushi business me reinvest krna. Iske bht sare faide hote hai jaise apki company apke control me rheti hai, Ap hi apni co. Ke boss hote ho, apke pass freedom hota hai quick decision lene ke liye. Kyuki investment milne ke baad bht sari cheeze change ho jaati hai. IS Bare me kabhi detail me baat krege. Ap logo ne aaj kal dekha aur suna hoga ki jyda tar entrepreneur start-up suru krte hi funding ke peeche bhagne lagte hai ki koi investor mile aur hume paise dede wo khud kabhi apne idea ko check nhi krte hai aur sochte hai ki idea ke dum per Investor unhe paise dedega. Me ye nhi khe rha ki Investor idea sunke paise nhi dete hai bilkul dete hai per wo ideas out of the box hote hai. Har business coach aur business leaders ka khena hai ki har start-up ko apni suruaat bootstrapping se krni chaiye aur ye dekna chaiye ki unke idea ko market me kya response mil rha hai, unka ye idea aage chalne wala hai ya nhi. Jb hum bootstrapping se apne business ko suru krte hai toh hume kuch hi dino me market ke bare me bht kuch jaane ko milta hai most important thing hume apni target audience ke bare me pata chal jta hai ho, saat hi saat hamara idea market me logo ki kitni problem solve kr rha hai ye bhi pata chal jata hai. Isse apke pass apke start-up ka ek layout taiyar ho jta hai jisme ap apne start-up ki sari info dalte ho starting se abhi tak ki. Isse apko ek advantage milta hai ki jab ap investment lene jate ho toh ye sab cheeze dekke invertor per aacha impression padhta hai aur apke layout ko dekke Investor turant samaj jata hai ki ye idea chalne wala hai ya nhi , isme paise lagane chaiye ya nhi aur saat hi saat apko appreciation milta hai ki apne apne dum pe itna kaam kr liya & investor ke samne apki image bhi postive ban jati hai. Layout read krte hi investor sab samaj jata hai apke start-up ke bare me. Apke Start-up ki kamiya wo tbhi bata dega apko aur jaha jaha apko improve krna hai wo bhi apko tbhi pata chal jayega.
Iska bus ek hi disadvantage hai ki BOOTSTRAPPING ke through ap apne business ko expand aur scale nhi kr sakte ho aur suruat ke Dino me toh apke pass kuch profit bhi nhi bachega.
Example : GO PRO ek camera banane wali co. Hai inke founder ne 2002 se 2012 tak is co. Ko apne dum pe chalaya tha. Achi baat ye thi ki inke cameras market me bht tezi se bik rhe the aur time ke saat saat inki demand bhi badhti jaa rhi thi. 2012 ke baad inko 200m$ ki funding mili iske baad ye co. Bht tezi se grow krne lagi aur aaj ki date me inke camera sports me use ho rhe hai aur saat hi saat vloggers ka toh ye favourite brand hai.
Blog aacha lage toh share krdena, aur koi doubt ho toh comment section me puch lena aur haa ap logo ke liye ek aachi khabar hai me jaldi hi apna Podcast suru krne wala hu. Phir aap ye sari information waha audio form me kahi pe bhi kabhi bhi kuch bhi kaam krte hue sun payege.
Thanks for sharing
ReplyDeleteVery helpful... Thanks for sharing the content in such a simplistic way.
ReplyDelete