Start-up valuation ka sheeda matlab hota hai ki aaj ki date me market me apki co. Ki kitni value hai. Agar apki co. Ko beecha jaye toh kitne amount me apki co. Sale ho jayegi. Aur investor bhi jab paisa dega toh sabse phele apki co. Ki valuation hi dekhega.Valuation nikale ke bht sare Methods hai per me apko teen tareeke batauga jo jaydatar use hote hai. Ye blog teen part me Divide hoga aur teeno part me alag alag method ke bare me apko jaane ka mauka milega.
Valuation nikalna isliye jaruri hai kyuki usse hi pata chalega ki jo investor apko paise dega usko us co. Ke kitne % share milege.
Aaj ke method ka naam hai BERKUS METHOD :
Ye method bht simple hai aur ye method jayda tar choote start-up ki valuation nikalne ke liye use hota hai. Isme sabse phele ye dekha jta hai ki apka idea kaisa hai aage ye chlne wala bhi hai ya nhi, ye market ki kis badi problem ko solve kar rha hai, log isse easily adopt kar pa rhe hai ya nhi, ap logo ke pass management skills kaisi hai, apki team kaisi hai, Future plan kaisa hai, Co. Ko leke apka vision kya hai, Suru ke kuch customers ne apko kya feedback dia hai etc etc.
Ye sare factors ki qualities ko dekha jata hai aur plus minus krke ek Value nikal di jaati hai.
Example :
Idea = + 50,000000
Plan = + 50,000000
Management skills = + 50,000000
Team = - 50,000000
Marketing acceptance = + 50,000000
Total valuation = 15,0000000 /-
Oveall valuation : 15cr
Comments
Post a Comment