Aap ek business krte hai aur apko apne business ko scale krne ke liye funding chaiye... Aur funding milegi kha se?
Uske liye toh apko investors ke pass jana hi padega...
Toh aaj ka blog ishi hi topic pe hai.... aaj me apko batauga Type of investors in market.
Dekhiye Investors do trah ke hote hai jo apke business me investment krte hai.
Phele aate hai Angel investor aur dusare hote hai Venture capitalist investors. Ab in dono me kya difference hai chaliye aage jante hai.
Angel investor : Angel investors badi badi companies ke owner or CEO hote hai jo apke business ko dekte hue apki company me funding krte hai. Ye funding ke saat saat business ke har level pe apki help krte hai, Apke business model ki kamiya batate hai aur saat saat hi unko improve kaise kiya jaye ye bhi batate hai. Ye log apko market me bada khiladi banne me help krte hai.
Venture Capitalist Investor's : Ye investors bade bade investor's se paise leke apke business ki funding krte hai.. per ye sirf funding krte hai iske elawa ye apki aur koi help nhi krte hai jaisa ki angel investors krte hai. And in future jb apka business profit me ane lagta hai toh us profit me se kuch % apna margin apna bhi nikal wate hai.
Ye investors ek trah se share bazaar ke brokers ki trah hote hai.
Aasha krta hu ki ab apko Dono investors me farak samaj aa gya hoga..koi dikkat ho toh mujhe Comment me puch lena. Aage aur bhi interesting topics pe series lane wala hu So, stay tuned
By -Rishabh Sunmoria
©RishabhSunmoria
Comments
Post a Comment