Amazon founder Jeff Bezos Duniya ke phele Centi-Billionaire ban gye hai 150 B$ ki net worth ke saat. Aur ishi ke saat hi wo duniya ke bhi sabse Amir aadmi bhi ban gye hai Bill Gates ko peeche krte hue.
125 Deso ki GDP se jyda net worth hai Jeff bezos ki.
Yesa kya hua jo ek aadmi Garage se online book bechta hua aaj duniya ka sabse amir aadmi ban gya.... Kuch toh Strategy, Mindset aur kuch toh thoughts process esa hoga jisne Jeff bezos ko Sadak se utha ke aasman pe baitha diya.
Is blog ke 3 part hoge jisme me apko Jeff bezos ki Suru se lekar abhi tk ki puri journey ke bare me batauga toh me chahata hu ki aap ye blog pura read kre...aur iske next part ke liye bhi ready rhe jo jaldi hi aayega.
Suru se start krte hai.. Jeff bezos ka janam January 1964 me hua. Jb unka janam hua us samay unki maa kewal 17 saal ki thi yu kahu toh unki maa us samay school me Padhti thi.
Deemag unka suru se hi padai me bht aacha tha. Apni kaabileat ke dum pe bht kam umar me hi unki naukri ek Marchant banking company me president ke post pe lag gayi.
1996/1997 unko esaas hua ki dot com ka boom aane wala hai, Internet. ka boom aane wala hai, Banking toh chlati rhegi phir aajuga lekin ye mauka haat se nikal gya toh phir me ese pakad nhi pauga Competition khaa jayega mujhe.
ushi samay unhone apni naukri se Resign diya aur apni khud ki co. Amazon kholdi apne ghar ke Garage me.
Toh dosto yese hua Amazon co. ka janam. Suruaati dor me ye sirf books becha krte the aur aajki date me Amazon ke pass hazaro Products hai.
Blog jyda bada na ho jaye isliye aaj me ise nhi khtam krta hu Amazon aur jeff bezos ki aage ki journey me apko next blog me batauga... So stay tuned guys and keep support me.
Thank you
By - Rishabh Sunmoria
©RishabhSunmoria
Comments
Post a Comment