Jaisa ki mene apko apne blog - 2 me bataya tha ki apko krna kya hai ye apko khud select krna hoga (Passion), Jisko aage chal ke aap ek Profitable profession me badal sake.
Dhyaan dena meri is baato pe :-
1- Passion wo cheez hoti hai jiske liye aap free me kaam krne ko ready ho jate hai.
2- Jiske liye aap Sunday ko bhi kaam krne se mana nhi krte
3- Thake hone per bhi full energy ke saat kaam krte hai
4- Neend aa rhi hai phir bhi aap wo kaam krne ke liye peeche nhi hat rhe, ye sab isliye ho rha hai kyuki wo kaam apKa passion hai wo kaam krne me apko maja aata hai.
Yese hi apko sabse phele apne ander ke passion ko bahar nikalna hai aur usko sahi direction deni hai phir kya... unme business formula lagao jaise ki mene apne second blog me bataya tha aur apne passion se ek profitable platform create krlo jisse apko income bhi hone lag jaye.
Ek example batana chahuga ese bande ka jisne apne passion ka use krke ek yesa profitable platform create krliya ki aaj wo duniya ke top 5 richest mens me se ek hai.
Ji, haa me baat kr rha hu MARK ZUCKERBERG
Jo aaj ki date me duniya ke 5th sabse amir admi hai.
Mark Zuckerberg ne 6,7 grade se hi software banane suru krdiye the.
Synapse media player unke school ka phela Project tha. Jab tak wo University me aaye apni higher Studies ke liye tb tk log unko PROGRAMMER Producer ke naam se jaane lage the.
Ishi Programming ke dum pe unhone Facemash banaya jo aage chal ke Facebook bana aur aaj Facebook ko kon nhi janta hai.
Is kahaani se yehi pata chalta hai ki Mark ka passion programming tha ushi programming ka use krke unhone apne liye ek profitable Platform bana liya aur aaj duniya ke Amiro me unka naam hai.
By- Rishabh Sunmoria
©RishabhSunmoria
Comments
Post a Comment