Agar aap ek student hai ya ek Service men hai aur ap apna khud ka business start krna chahate hai .. apke pass idea bhi hai per apke pass us business ko scale krne ke liye utne paise nhi hai aur funding chaiye.
Toh aaj aap ek sahi blog me aaye hai .. aaj me apko batauaga ki aap apne startup ya business ke liye funding kaha se le sakte hai aur uske liye apko kya kya krnaa hoga.
Toh chaliye suru krte hai...
Jaisa ki apko pata hai apne india me in dino startup ka trend chal rha hai.. har koi apna start-up kr rha hai, lekin aBi bhi bht se yese unique startup idea's hai jo market me funding ki kami ke karan aa nhi pa rhe hai.
Agar apke pass bhi start up idea hai aur funding issue aa rha hai toh ek website hai jo apki funding me help kr sakti hai .... ji haa
Us website ka naam hai:-
www.Indianangelnetwork.com
Is website me apko india ke bade bade investor mil jayege jinhone phele bhi kai startup me funding kri hai.
Aab sawal ye ki humko kaise milegi fundings..?
Toh iska jawab hai ki apko sabse phele ek presentation banani padegi apne business idea se related uske baad ap simply is website me account banaye aur apni presentation website ko send krde ...
Ye websites apki files ko sare investors tk pahucha degi.
And agar kisi investors ko apka business idea pasand aaya usko apke business me future ka scope aaccha dikha toh wo apko funding krdega.
By - Rishabh Sunmoria
©Rishabhsunmoria
Comments
Post a Comment