Abhi tk bht krli humne filmo ki baatein....... Aaj kuch naye mudde pe baat krte hai jisse aajkal pura youth Pareshan hai ki after 12th kya kre ya after graduation kya kre kyuki mann chahi naukri toh mil nhi rahi....
Mann me kuch is trah ke Sawal aate hai :
Wo hi kre jo sab kr rhe hai ya kuch naya kre.? Aur kuch naya kre toh kya kre jo dusaro se hat ke ho ... Jo hume dusare se alag banaye...
Business kyu ya job kru..?
Business ke liye paise kaha se lauga..?
Job hi krleta hu kuch din.. Business baad me dekhege.
30 Hazar ki naukri lag jaye bus life set hai.
Jyda tar students aur logo ko aajkAL ke samay me ek hi pareshani hai LACK OF CLARITY.
Kuch bhi clear hi nhi hai ki humne abhi tak kya kiya? Kyu kiya? iske aage kya krna chaiye..? Aur nah usne kabhi apne aap se pucha ki use kya krna chaiye uska mann kis cheez me sabse jyda lagta hai uska passion kya hai....?
Jyda tar log is darr se peeche ho jaate hai ki log kya bolege Ya unko ye lagta hai ki jo kaam humne socha hai ya hum jo kaam krna chahate hai usme hum safal nhi ho payege.
Positivity nahi hoti hai mind me.
Note : Kuch naya krne ke liye risk toh lena hi padega.
HAARNE KE DARR SE PHELE HI HAAR MAAN JATE HAI KUCH LOG.
ISHI WAJAH SE WO APNI LIFE ME PHIR KUCH NAYA NHI KR PATE.
WAISI HI ZINDAGI JEETE HAI JAISE KI BAKI LOG JEE RHE HAI.
10 logo ne alag alag suggestions diye .... Unki baat ko thoda suna, thoda apna deemag lagaya aur usne is cheez me deemag nhi lagaya ki me in sabse hat ke bhi kuch kr saktahu ya nhi..?
Phir kya tha lag gye RAT RACE me jo sab kr rhe hai wo me bhi kruga
Sharma ji ka lagta SSC ki taiyari kr rha hai me b kruga.
Yadav ji ka ladka IIT ki taiyari ke liye kota ja rha hai me b ja rha hu.
Usne apne talent ko toh phechana hi nhi aur na khud se ye pucha ki wo khud krna kya chahata hai.
Kisi aur ke suggestions pe apni life decide krne chal diye.
Mera agla blog ishi baat pe hoga ki aap logo ke ander koi passion hai toh ap usse ek profitable career kaise bana sakte hai.
Jo mere aane wale blogs ko end tk follow krega wo jarur kuch ban jayega.
Aur agar khud kuch nhi bhi ban paya toh dusaro ko advice jarur de payega ki use kya krna chaiye aur kya nahi.
By - Rishabh sunmoria
©Rishabhsunmoria.blogspot.com
Comments
Post a Comment