Aaj ke is blog me apko yehi pta lagega ki companies yesa kyu krti hai aur isse co. Ko kya faida hai aur kya nuksaan.
Companies merging ka matlb hota hai ki ek co. Dusari co. Ke saat judh gyi hai aab wo milke saat kaam kregi. Merge wohi companies hoti hai jinka business ek dusare se same hota hai aur milke wo dono co. us Business ko aur expand kr sake , Dusara wohi companies ek dusare se Marge hoti hai jo ek dusare se relate krti hai.
For example : 1- IDEA AUR VODAFONE MERGE HO GYE. Idea aur Vodafone ke bare me toh apna pura desh janta hai.
2- ICICI PRUDENTIAL
ICICI Bank india ka bank hai jo banking me expert hai wahi PRUDENTIAL ek international co. Jo mainly insurance me deal krti hai.
Aab ye dono milke india me apna business operate kr rhe hai wahi inka business tezi se expand bhi ho rha hai.
Aab me baat kruga ACQUISITION ki..:-
Acquisition ka matlb hota hai kisi ko puri trah se khareed lena jisper phir apna hak ho. Hum usko jaise chahe waise operate kr sake.
Ye jyda tar apko ek hi sector ki companies me sunne ko milega ki us company ne usko acquire kr liya. Ye isliye hota hai kyuki jb do same sector ki co. Market me hoti hai tb customer kisi ka bhi apna nhi hota, customer baar baar switch hota rheta hai, customer ko apna banane me ye companies heavy cash burn krte hai baar baar scheme & offer dete hai jisse customer baar baar inke pas aye, per isse kuch aacha result milta nhi hai. Aur kya hota hai inka business grow krne ke wajaye down hota jata hai profit kuch nhi hota. Phir kya hota hai jo company phele aae hoti hai ya jiske pass customer base aacha hota hai aur fund b aacha hote hai wo baki ki companies ko acquire kr leti hai jisse phir sara customer base ek hi co. Ke pass aajye aur market me monopoly create ho jaye.
For example : FLIPKART ACQUIRED MYNTRA
Acquisition ke kuch aur reasons hai wo me apko detail me next blog me batauga.
Baki tb tab tak ke liye ek baat ye Dhyaan rakhiye ki :
MERGE & ACQUISITION BUSINESS KO EXPAND AUR MARKET ME MONOPOLY CREATE KRNE KE LIYE KRE JATE HAI.
Nicely explained and in very easy manner... Thankyou. .. Keep writing more☺...
ReplyDelete