2004 me jb Facebook bana tab inhone isse sirf apni university ke liye hi rakha. Uske baad dheere dheere ye Boston, US, UK, CANADA jaisi country me failta chala gya. 2005 me ye 21 university ke ander famous ho gya tha. 2006 me inhone ye sabke liye open krdia. 2007 Aaate aate 1lakh se jyda business pages Facebook pe ban chuke the.2008 me inhone apna ek head office Ireland me khola. 2011 me Facebook photo host me duniya ka sabse bada platform ban gya tha lagbhag 100billion se bhi jyda photo tb tk upload ho chuki thi. 2012 me inhone Instagram ko 1billion $ me khareed liya.
Aab baat karte inko funding kb kb mili :
2005 me inko Thiel partners ne 5 lakh dollor ki funding kri. April 2005 me Accel partner ne inko 12.7 milliom dollor ki funding di. April 2006 tak inko alag alag jagah se 27 million dollar ki funding mil chuki thi wahi Greylock partner ne inko 2.5 m$ ki funding di. 2006 tak inki valuation 500million $ ho chuki thi.
Ek samay ek unknown bande ne inko 700m$ me khareed na chaha per inhone us samay 1billion $ mange. Ek samay Yahoo ne bhi inko 1Billion $ me khareed na chaha per inhone us samay bolo ki hamari internal valuation 8Billion $ hai. Is wajah se yahoo ko bhi inhone apni co. Nhi sale kri. 2007 me mark ne kha diya ki ab me apni co. Nhi sale kruga bus partner banauga. 2008 tk sahi me inki valuation 8b$ ho gyi thi iska yehi matlb hai ki mark ko phele se hi pata tha me bht aage jauga.
2012 ki starting me inhone kha ki humko 1B$ ka profit hua hai. Inhone share market se bhi lagbhag 5B$ ki funding uthae thi.
30sep 2018 me 13.7B$ ka inka revenue tha.
Facebook ek simple tareeke se paise kamata hai aur wo hai advertisement chala kar. Ap mei aur dusare log jo bhi apna ad Facebook pe chalate hai usse hi Facebook paise kamata hai.
(Facebook ads per bhi ek detail blog jaldi hi publish kruga.)
Aab inhone jo jo company Acquired kri unke bare me batata hu :-
1- JIBBIGO : Ye company ka kaam bus itna hi hai ki ye users ko dusari dusari language me advertisement krne me help krti hai.
2- ATLAS SOLUTIONS : Ye co. Inhone Microsoft se acquire kri thi. Iska kaam hai humko stats dikhana ki hamare ad ki kitni reach gyi, kya engagement hai etc etc.
3- ONAVO: Ye co. Do applications ka comparison krti thi. Ab ye Facebook ke liye kaam krti hai.
4- OCULUS VR: Duniya ki sabse badi Virtual reality co. Bhi inhone 2014 me 2B$ me Acquire krli thi.
5- WHATSAPP: 2014 ke ander inhone whatsapp bhi 19B$ me acquire kr liya tha.
Comments
Post a Comment