Skip to main content

Posts

5 HABITS OF ENTREPRENEURS

1) Time management Time management kitna jaruri hai wo to mujhe aapko batane ki jarurat nahi hai. Aap sabhi Time ki importance bahot ache se jaante hain. Time management ko leke mtlb ki apne din ko kaise manage kare ki aapke time ka jada se jada productive use ho sake, ispar detail me pichle blogs me baat ki hui hai aap waha se padh sakte hain. 2) Don’t Procrastinate Waise to Procrastination Time Management ka hi part hai, Pr ye topic khud apne aap me itna importat hai ki isko bhi alag se hi mention kiya hai. Sach kahu to mujhe procrastination aaj ki sabse badi bimari lagti hai, jiska shikaar aaj har koi hai. Apna har kaam time pr hi pura kar le, baad ke liye bilkul na chode. Kaam aage ke liye taalkar apne liye bewajah ki aur tension na badhae. Aapke jeevan ki aadhi mushkile aadhi tension to aise hi khatam ho aajaegi procrastinate na kar ke. 3) Learn to Say NO Jitna ki new opportunities ko haan bolna jaruri hai to kabhi kabhi na bolna bhi utna hi jaruri hai. Aapko apni priorities pata

5 STEPS TO INCREASE YOUR PRODUCTIVITY BY 10×

Increase your Prodcuctivity by 10x. Is blog me hum in steps ko short me jaanenge, detailed me har ek step ko alag se blog me cover kiya jaega. 1st Step-  Set Goals :- Sabse pehla aur important step aur sabse jada neglected bhi- Goals Setting. Agar aap kahin jane ke liye ghar se nikalte hain to jahan jaana hai uska address malum karke hi nikalte hain n, aisa to nai hota n kabhi ki kahan jana hai pata nahi aur ghar se nikal gaye jaane ke liye. Aisa hoga to kahi pahuchoge? Ya chalte chalte hi bhatak jaoge?  Aapko apni life me kya krna hai sabse pehle wo jaane, agar nahi bhi samajh aarha hai abhi to koi chota goal apne liye banaiye ki mujhe ye chahiye ya ye karna hai. Ab wo kuch bhi ho sakta hai chahe apke business ke saal ka turnover, ya students ke liye kisi subject me performance, ya aapki field se related ya health se related ya kuch bhi. Ye aapko apne liye khud hi tay karna hoga.  2nd Step- Planning :- Ab jo aapne 1st Step me Goal decide kiya tha, usko kaise achieve karna hai uske liy

5 LINES EVERYONE MUST SAY TO THEMSELVES DAILY

1. I can do this. I am surely gonna try this, whatever would be the result, but I’m gonna give my best. 2. Life is incredibly beautiful. Look around yourself, there are so many vibrant colors, just feel the breeze, the warmth of the sun rays. Just feel your environment. It’s so mesmerizing. Look at you, look aound you- how many previledges you got from Nature. Just looke at your body itself, what kind of Miraclous machine it is. Try to realize the worth of all these previledges, WORTH OF LIFE. 3. I'm NOT a procrastinator. Procrastination is not cool at all, instead it’s the cause of retardation in your Mental & Physical Health. Delaying things for no reason, creating a stock of work for the last is stupidity. Choose wisely between this stupid illusion of coolness or the most important part of your life- Your Health. (We’ll discuss this later in detail that how Procrastination badly affecting your life in another blog). 4. I’m (your name) is special. You are special, and you don

HOW TO PLAN YOUR DAY

Pichle 2 blogs me humne jana ki apni morning routine me thoda sa change laake apni productivity ko 10 times kaise badhaya jaye. Aur ab is blog me hum jaanenge ki apne din me kya kuch thode badlav laae jae jinse aap apni productivity ko 10 times badha ke apni productivity ka graph upar le jaae.       To jaisa ki pichle blog me meine kaha tha ki apne din ko schedule karein. Usme kai logo ne pucha ki din ko schedule to karte hain time table banate hain hum, par follow nai ho pata. To aaj isi par baat hogi.       Dekhiye sabse pehle to ye kehna band kijiye ki humse nahi hoga. Mein aksar ye dekhti hu ki ye line kehna logo ki adat ban chuki hai. Ab to mujhe aisa lagne laga hai ki kuch log khana khae bagair to jee sakte hain par khud ko kam aanke bina nahi. Ye kehne ke bajae ki mujhse nahi hoga ye kahe ki mujhse hoga, mein karke dekhungi/dekhunga, fir jo bhi ho, par dungi/dunga to apna best, uske baad jo bhi ho. Waise ye guaranteed hai ki, agar aap kisi kaam me apna best denge to wo 100 prati

MORNING GOLDEN HOURS ROUTINE

Aap in 2 ghanto ko 4 intervals (20-30-30-40)min. me divide karle.Pehle 20 min. me jaldi se naha ke fresh ho jae. Jissey apki neend puri tarah khul jaegi.           Dusre 30 min. me 1 fruit yaad se khale jissey apka stamina boost hoga aur long term k liye energy bhi dega. Aur ye 30 min. mainly exercise aur meditation k liye rakhein. 20 min, exercise k liye. Exercise se apka blood circulation badh jata hai jissey apko energy milegi aur fitness ke liye exercise jaruri to hai hi. Fir agle 10 min. aap meditation karein. Aap par depend karta hai aap kaise meditation karna chahte hain. Aap kisi bhi mantra ka jap kar sakte hain (jaise OM ucchaaran), body-scan (minfullness technique), ya agar aap beginner hai to aap comfortable position me beth jaein aur keval apni saans (breath) pr dhyan kendrit karein. Ye tarika meditation start karne ke liye best hai.           Agle 30 min. ke interval ko aap fir se 2 intervals me divide karein (is baar 10 min. aur 20 min ke intervals me). Pehle 10 min. me a

GOLDEN HOURS OF PRODUCTIVITY

             4 AM to 6 AM, ye wo 2 ghante hain jinko productivity ke liye  Golden Hours mana jata hai. Ye 2 hours apki productivity ko 10x times badha sakte hain.                       Log aksar raat me der tak jaag kar kaam karna prefer karte hain. Unka manna ye hota hai ki raat me wo apne kaam me concentrate kar paate hain, jo ki kafi hadd tak thik bhi hai. Lekin iske 2 behad bade nuksaan bhi hain jo log aksar nazarandaaz kar dete hain.                       Pehla yahi ki aap apni neend sacrifice kar rhe hain jo ki bilkul bhi sahi nahi hai. Ek complete proper sleep lena utna hi jaruri hai jitna ki kisi machine ki time to time proper servicing karana, ya ye kahein ki ussey bhi jyada. Kyuki aap koi machine nahin balki ek jeete jaagte insaan hain, jiski value ek machine se kai jada hai.  Aur sirf itna hi nahin issey aapki body ki biological clock bhi disturb hoti hai, jiske apne alag kaafi nuksaan hain, khair ispr kisi aur ek blog me alag se detail me baat karenge.                      

Inner Peace or Sarcasm...?

Most people think that the meaning of peace is ignoring all the negative things and just think of yourself instead. Here, by peace I mean  Inner Peace.                                 In quite past few years, I’m observing that, people do so often use the word of peace or its other expression, but do not mean it. If I take one of the incidents from my life which quite make me desperate to write about it, is the conversations I used to have with my one of the close friend. So what happened is, she used to send me a lot of that peace emoji on whatsapp, or make expressions of peace but the thing what makes me disturb that her accent and that her expression were not matching at all. So one day I asked her that do u even know what the meaning of peace is? She replied and i quote, that “jab hume kisi baat se fark na pade”. Yes this is right, but something is here which is not right.  What wrong here is that the accent, in which she said that. Her tone was  not peaceful,  rather than it w