Skip to main content

Posts

SOCIAL MEDIA MARKETING MISTAKES

1- NOT DEFINED RIGHT TARGET AUDIENCE Ye ek bht bada reason hai jiski wajah se aache aache brands grow nhi kr pate hai, kyuki unko khud nhi pta hota hai ki unki services aur products kis trah ki audiences ke liye hai. Wo proper Advertisement toh krwate hai facebook, Twitter, Instagram pe (heavily paid Ads chalwate hai) per real me jo response milna chaiye unko wo nhi mil pata. For example : Ye bilkul ushi trah hai jaise ki ek music lover ko songs ki jagah Cricket ki information di jaa rhi ho. Isko overcome shotgun marketing ke through kiya jaa sakta hai aur wo bhi starting ki stage me. ShortGun marketing pe ek details blog jaldi hi publish kruga.  2- DOING SAME THING ALL TIME Agar aap apni audience ko ek hi cheez baar baar show kroge toh wo apse bore ho jayegi and dheere dheere krke ek samay ye ayega ki wo apko totally ignore krne lagegi. Isse samne wale ke deemag me apki negative image banti hai. 3- NOT CREATING FRESH CONTENT Ho sake toh har baar kuch naya Content create kre jisse apki

Food Delivery Business

Food Panda, Zomato, UberEat, Swiggy  Uper diye hue sare naam Food delivery companies ke hai. In sab companies ka kaam hai apke favourite restaurants se apke ghar tak khaana deliver krna jo ki aap inki app use krke order krte ho. In sabhi companies ne pure india me apna network banaya hua hai lagbhag sabhi restaurants and hotels aaj ki date me inke saat milke kaam kr rahe hai.  Food delivery wala concept sabse phele food panda laya tha usko dekte hue zomato aaya & same business model pe phir Swiggy bhi aagya. Afsos ki baat ye hai ki Food panda toh is business me itna kamaal nhi kar paya per Zomato aur swiggy is kaam me aache chal rhe hai & kuch samay me uber eat bhi inke competition me aajyega.  Food panda ke buri trah se fail hone ke baad Ola ne Isko khareed liya hai aur aab ye bhi kaha jaa rha hai ki Ola Food panda ko naye roop me launch krega uske baad is business model me competition aur bhi badh jayega aur saat hi saat Ola ke customer base ka food panda ko bht faida milega.

NEVER GIVE UP | ABRAHAM LINCOLN | SHORT STORY

22 saal ki umar me apne phele business me fail huye, 24 saal ki umar hai ek baar fir fail huye Apne business me, Apni premika ko khoya 26 saal ki umar me, Nervous breakdown ka sikaar hue 27 saal ki umar me. Yese hi muskilo ka kaarwa chalta rha per haar nhi mani aur na hi kabhi peeche mudh ke dekha. 47 saal ki umar me Vice - President ka election haare US ke ander. Uske baad bhi aage chalte gaye aur akhir kaar wo din aaya jb 52 saal ki umar me wo US ke President bane.  Ji, haa dosto me kisi aur ki nhi great international Leader ABRAHAM LINCOLN ki baat kr rha hu. Jinhone apne jeevan me ek si ek takleef ka samnaa kiya aur un takleefo ko paar krte hue ek din yesa aaya ki pura America unko jaane laga. Unki is khaani se hume ek cheez ye jarur sheekne ko milti hai ki Problems kitni bhi aye humko haar nhi manni hai aur apne hard work ke uper bharosa rakna hai. Apne jo bhi mehnat kri hai uska result ek na ek din apko jarur milega aur jitni apne mehnat kri hai usse kai badh kr milega. That'

MANIKAKARNIKA REVIEWS

Kaafi samay se controversy me chal rahi film MANIKAKARNIKA akhir kaar 25 jan 2019 ko bade parde per relase ho hi gayi hai. Film ne phele din qareeb 8cr Ki kamae kri aur dusare din ki kamae 18 se 20cr ke lagbhag hai. Isse ye pata chalta hai ki Audience ko bht pasand aa rahi hai ye Film. 26 January National holiday ka bht faida mila hai is film ko box-office pe, phele din audiences ne film ko itna seriously nhi liya per jabarjast reviews sunke aur padh ke log is film ko dekne se khud ko na rok paye. Ab film ki baat krlete hai : Film ki khaani Jhansi ki rani aur unke desh prem ko darshati hai, ki kis trah unhone angrezo se loha liya aur puri kosis kri hamare desh ko unse azaad krwane ki. Aur desh ko azaad krne ke liye kis trah unhone haste haste apna Balidaan dediya. Aap logo ko batana chahuga ki film ka direction khud kangana ne kiya hai. Iske peeche bhi ek lambhi khaani hai , film ki aadi shooting ke bad hi purane director ne ye film se apne haat peeche kr liye the uske baad kang

STREET DANCER | ABCD-3 | VARUN DHAWAN | SHRADDHA KAPOOR

Remo DSouza ki aane wali dance film ka naam ab STREET DANCER hoga. Makers ne kal hi ye officially announced kiya hai ki ab ye film ABCD-3 ke naam se nhi STREET DANCER ke naam se jaani jayegi. Film me SHRADDHA KAPOOR , VARUN DHAWAN , NORA FATEHI mail lead actor aur actress hai. Film ki shooting 22 January se Amritsar me suru ho gayi hai. Amritsar me film ka schedule 10 dino ka hai. Uske baad kaha jaa rha hai film ki team LONDON rawana ho jayegi. Film ka jyda tar hissa London me shoot hona hai. Film ko khud REMO Dsouza Direct kar rhe hai. Film me 3 purane gaane recreate hone wale hai.... ab dekna ye hoga ki audience is film ko kitna Pasand krti hai. FILM is saal 8 November ko bade parde pe Release hogi. ThankYou © RishabhSunmoria

Husband no.1 (Varun Dhawan)

In dino Anushka sharma aur Varun Dhawan apni aane wali film SUIDHAGA ka joro soro se desh bhar me promotion kr rhe hai. Haal hi me In dono kalaakaro ne apni film ka promotion LUCKNOW me kiya. Anushka sharma ka khena hai ki "Jiss trah Varun ne meri care kri hai in sabhi tours me......Jaha jaha hume apni film ka promotion kiya hai.. isse ye khena toh banta hai ki Varun future me ek bht acche Husband saabit hoge. Inhone mujhe bilkul koi takleef nhi hone di aur meri har cheez ka khayal rakha... Isse phele bhi mene kai films ke promotions kiye hai per jitna maja mujhe Varun ke saat film promote krne me aaya hai utna isse phele kabhi nhi aaya. Varun indian youth ke ek bht popular star hai and jitna inke fans inse pyar krte hai ye bhi unko phir utna hi pyaar krte hai. Me jaha jaha gyi hu mene waha waha dekha hai ki inke fans ne inse jo bhi demand ki inhone wo puri ki.. and inke promotion ka tareeka bhi aur staro se bht alag hai. Ye apne saat saat apne co-stars me bhi energy bar dete hai

APNE BUSINESS ME MONOPOLY KAISE CREATE KRE

Apne jayada Tar bade bade businessman's aur Entrepreneurs ko khate suna hoga ki market ka Raja banna hai toh apne Competition ko ya toh Acquire krlo ya toh use khtam krdo.... Khatam krne ka matlb dusari co. Ke maleek ki jaan se maar dena nhi.. uske muqable apna production bada do and branding yesi kro ki customer uske muqable apka products choose kre aur dheere dheere uski sell khatam ho jaye, new scheme market me lao jo apse phele kisi ne apply na kri ho. Tbhi jake ap marketing me survive kr paoge. Aur is sabki starting hoti hai branding aur promotion se and branding / promotion dono hi apne me ek alag topic hai iske uper me detail me ek blog jaldi hi leek duga. Baki jitna mujhe pta hai jyda tar logo ko aaj ki date me jante hai ki branding kya hoti hai aur promotion ka kya hota hai..? Aab baat krte hai ki monopoly create kaise kre.. MONOPOLY ka matlb hata hai ki is area/field ka me raja hu mere aage kisi ki nhi chalegi. Simple language me samjhu toh iska matlb yehi hota hai k