Kaafi samay se controversy me chal rahi film MANIKAKARNIKA akhir kaar 25 jan 2019 ko bade parde per relase ho hi gayi hai.
Film ne phele din qareeb 8cr Ki kamae kri aur dusare din ki kamae 18 se 20cr ke lagbhag hai.
Isse ye pata chalta hai ki Audience ko bht pasand aa rahi hai ye Film.
26 January National holiday ka bht faida mila hai is film ko box-office pe, phele din audiences ne film ko itna seriously nhi liya per jabarjast reviews sunke aur padh ke log is film ko dekne se khud ko na rok paye.
Ab film ki baat krlete hai :
Film ki khaani Jhansi ki rani aur unke desh prem ko darshati hai, ki kis trah unhone angrezo se loha liya aur puri kosis kri hamare desh ko unse azaad krwane ki. Aur desh ko azaad krne ke liye kis trah unhone haste haste apna Balidaan dediya.
Aap logo ko batana chahuga ki film ka direction khud kangana ne kiya hai. Iske peeche bhi ek lambhi khaani hai , film ki aadi shooting ke bad hi purane director ne ye film se apne haat peeche kr liye the uske baad kangana ne ye soch liya tha ki ye Film banegi aur is film me ko me khud banaugi.
Film ka direction bht jabarjast hai first half me screenplay thoda slow hai kai jagah pe ap bor bhi hone lag jayege per khaani apko engaged rakhegi and second half toh standing ovation deserve krta hai.
VFX & Action Scenes superb hai per editing mujhe thodi week lagi.
Jyda na khete hue me bus itna khena chahuga jake theatre me ye film dekhiye.
Short me Rating deta hu...
DIRECTION : ⭐⭐⭐
SCREENPLAY : ⭐⭐⭐
CINEMATOGRAPHY : ⭐⭐⭐⭐
ACTION / VFX : ⭐⭐⭐⭐
EDITING : ⭐⭐⭐
OVERALL RATING : 4.5⭐ / 5
Thank you for reading my blog 🙏
©Rishabhsunmoria
Comments
Post a Comment