Skip to main content

Posts

Showing posts from February, 2020

5 LIFE-CHANGING HABITS

1) Time management Time management kitna jaruri hai wo to mujhe aapko batane ki jarurat nahi hai. Aap sabhi Time ki importance bahot ache se jaante hain. Time management ko leke mtlb ki apne din ko kaise manage kare ki aapke time ka jada se jada productive use ho sake, ispar detail me pichle blogs me baat ki hui hai aap waha se padh sakte hain. http://rishabhsunmoria.blogspot.com/2019/12/5-steps-to-increase-your-productivity.html 2) Don’t Procrastinate Waise to Procrastination Time Management ka hi part hai, Pr ye topic khud apne aap me itna importat hai ki isko bhi alag se hi mention kiya hai. Sach kahu to mujhe procrastination aaj ki sabse badi bimari lagti hai, jiska shikaar aaj har koi hai. Apna har kaam time pr hi pura kar le, baad ke liye bilkul na chode. Kaam aage ke liye taalkar apne liye bewajah ki aur tension na badhae. Aapke jeevan ki aadhi mushkile aadhi tension to aise hi khatam ho aajaegi procrastinate na kar ke. 3) Learn to Say NO Jitna ki new opportunities ko haan bolna...

SABSE BADI GALTI !

Sabse Badi Galti Jo aap kahin roz toh nahi kar rahe? Is Blog me aaj baat hogi us sabse badi glti ki jo aajkal bahot aam ho gayi hai, log jaane anjaane har waqt ye galti karte, aapko dikh hi jaenge. Aur hairaani ki baat to ye hai ki Log jitne time khana nahi khate ussey jada time to ye galti karte hain.         Logo ke sath jab bhi kuch bura hota hai ya koi kaam nai banta tab wo bina kuch bhi soche samjhe apni kismat ko kosne lagte hain. Unke sath kuch bhi galat ho, wo ya to kismat ko bura bhala kahenge, kismat ko blame karenge, ya to jo koi aur jo us incident me involve hai usey blame karenge. Jo ki aajkal bahot hi svabhaavik aur aam baat ho gayi hai.         Galti yaha log ye karte hain ki jab bhi kuch bura hua ya koi bhi kaam nai bana usko analyse nai karte aur jaanne ki koshish hi nai karte ki aakhir galti kahan hui hai. Aur jyadatar to ye hota hai ki Logo ko pata hota hai ki galti kahan hui hai aur usko sudhara kaise ja sakta hai, pa...