Skip to main content

Posts

Showing posts from April, 2019

TYPE OF MIND PART -1

Hello, guys  Aaj kareeb 4 din baad me apna naya blog leekh rha hu & apko batana chahuga ki aajka blog ap logo ke liye bht faidemand hone wala hai toh me chahuga ki aajka blog aap pura pade aur saat hi saat apne dosto me bhi share kre.  Aajke is blog me apko 2 trah ke deemag ke bare me pata chalega, ye kya hote hai aur kis trah se ye insaan ki zindagi ko ek dum badal sakte hai Negative way me bhi aur positive me bhi. Toh chaliye suru krte hai :  Phele wo do Mind hai jo hamari life ko puri trah se tabah krdete hai. Jisme phela naam hai PROCRASTINATION MIND Apne bht logo ko bolte suna hoga ki aaj mann nhi hai kal karuga, aaj padai nhi ho rhi kal se kruga. Ye wo mind hota hai jo admi ko har kaam aaj ki jagah kal krne pe majboor krdeta hai. Kyuki aadmi iska aadi ho jata hai aur wo har kaam kal ke liye chod deta hai. Dusara Mind hota hai PROBLEM MIND.  Problem minded log apko market me bht mile hoge ya ho sakta hai apke ghar me ya family me hi ho koi jisko kitna bhi aa...

BEST ONLINE MUSIC STREAMING NETWORK : GAANA.COM

GAANA.com ko march  2019 tak 10cr active users aur mil gye hai. GAANA ke pass aab har mahine 15cr active users hai. GAANA india ke ander apni field me no.1 per pahuch gaya hai. Apko batana chahuga GAANA.COM ek music streaming network hai. Jiska use krke log apne mann pasand gaane kahi pe aur kabhi bhi sun sakte hai. Gaana ke CEO Prashant aggrawal ka kahena hai ki gaana music ke jariye logo ke dilo me mithas gholta hai. Har mahine 15cr log hume sunte hai ye hamare liye ek garv ki baat hai aur iska bht sara credit hamari team ko jata hai.  2018 se abhi tak gaana baazar me yese naye naye update laa chuka jo inse phele koi aur nhi laa saka.  Gaana ne india ke bahar 78% se bhi jyda ki growth hasil kri hai. Jisme sabse jayada growth gaana ki America, Australia, canada, Britain aur UAE me hue hai.

KALANK KE LIYE VARUN KI MEHNAT

Bollywood actor Varun Dhawan ne film kalank me apne kirdaar ke liye bht kadi mehnat kri thi. Kalank film ko karan johar ne produce kiya hai. Aur film 17 april ko bade parde pe release ho chuki hai aur aachi kamaye karke is saal ki biggest opening karne wali film ban gayi hai. Halaaki film ko janta se reviews itne khas nahi mil rhe hai. Film me Varun zafar ke role me nazar aa rhe hai. Trailer me varun ke look ko dekke fans is film ke liye kafi jayada excited the. Aab varun ne khud ek video share kiya hai jisme wo bata rhe hai ki is film ke liye unhone kaise taiyari ki thi. 

SANJAY DUTT EK JABARJAST ACTOR - VARUN DHAWAN

Varun Dhawan ki next film kalank aane wali 17 tareek ko bade parde pe release ho rhi hai. kalank ek multi starrer film hai isme varun ke saat Alia bhatt, Sanjay dutt, Kunal khemu, Adtiya roy kapoor aur madhuri dixit hai. Ye film 1947  partition ke samay ki ek love story hai. Film me kaam krte waqt varun ne sanjay dutt ki bht tareef ki hai. Varun ne kaha ki mujhe baba ke saat kaam krke bht maja aaya, inhone mujhe bht support kiya hai aur inki ek baat mujhe sabse aachi ye lagi ki ye hamesha chahate hai ki inke samne wala actor ya actress isse aacha kaam kre. inse mujhe bht kuch sheekne ko bhi mila aur mene inke saat kaam krte waqt bht secure feel kiya.

START - UP VALUATION PART - 1

Start-up valuation ka sheeda matlab hota hai ki aaj ki date me market me apki co. Ki kitni value hai. Agar apki co. Ko beecha jaye toh kitne amount me apki co. Sale ho jayegi. Aur investor bhi jab paisa dega toh sabse phele apki co. Ki valuation hi dekhega.Valuation nikale ke bht sare Methods hai per me apko teen tareeke batauga jo jaydatar use hote hai. Ye blog teen part me Divide hoga aur teeno part me alag alag method ke bare me apko jaane ka mauka milega. Valuation nikalna isliye jaruri hai kyuki usse hi pata chalega ki jo investor apko paise dega usko us co. Ke kitne % share milege. Aaj ke method ka naam hai BERKUS METHOD : Ye method bht simple hai aur ye method jayda tar choote start-up ki valuation nikalne ke liye use hota hai. Isme sabse phele ye dekha jta hai ki apka idea kaisa hai aage ye chlne wala bhi hai ya nhi, ye market ki kis badi problem ko solve kar rha hai, log isse easily adopt kar pa rhe hai ya nhi, ap logo ke pass management skills kaisi hai, apki team kaisi h...

NATIONAL AWARD PER BHAROSA : JOHN ABRAHAM

Bollywood ke macho man  JOHN ABRAHAM  national award ke elawa kisi dusare award per bharosa nhi krte hai. Haal me john ki film ROMEO AKBAR WALTER bade parde pe release hue hai. John ne isse phele bhi  PARMANU  aur  SATYAMEV JAYATE  jaisi desh bhakti wali filmo me kaam kiya hai aur ye dono films box-office pe safal hue hai.  John ne bataya ki me ye awards shows ki bilkul  bhi respect nhi krta hu. Aap best  social media star  jaise awards kaise rakh bhi sakte hai. Mujhe nhi pata tha ki ye category kisi award show ki hai, lekin me kisi bhi award function ki respect nhi krta hu. John ne kaha, me unki respect nahi krta isliye woh mujhe ya meri filmo ko nominate tak nhi karte hai. Àap hi bataye,  PARMANU  ko kis award function me nominate kiya gaya. National award ko chodh mujhe kisi per bhi bharosa nhi hai. Hamari credibility kha chali gayi hai.

WHAT IS BOOTSTRAPPING..?

Aaj ke is Blog me apko ek bht important method ke bare me pata chalne wala hai aur ho sakta hai is method ke bare me apko phele se pata ho ya apne kahi se suna ho, aaj jis method ki baat hum krne wale hai jayada tar start-up apne starting ke dino me ishi method ka use karke apne aap ko market me settle krte hai.  Aaj ke method ka naam hai BOOTSTRAPPING. BOOTSTRAPPING ka sheeda matlb hota hai apne paiso se apna business start krna aur usse jo bhi revenue generate ho ushe dubara ushi business me reinvest krna. Iske bht sare faide hote hai jaise apki company apke control me rheti hai, Ap hi apni co. Ke boss hote ho, apke pass freedom hota hai quick decision lene ke liye. Kyuki investment milne ke baad bht sari cheeze change ho jaati hai. IS Bare me kabhi detail me baat krege. Ap logo ne aaj kal dekha aur suna hoga ki jyda tar entrepreneur start-up suru krte hi funding ke peeche bhagne lagte hai ki koi investor mile aur hume paise dede wo khud kabhi apne idea ko check nhi krte hai...

DEEPIKA, RANBIR PHIR MACHA-YEGE DHOOM

Bollywood ke Rockstar  Ranbir kapoor  aur dimple girl  Deepika Padukone  ki jodi ek baar phir silver screen per dhoom maChati nazar aane wali hai. Ranbir aur Deepika ki jodi ko audience bht pasand krti hai. In dono ne saat me Yeh jawani hai Deewani, Bachna e Haseeno aur Tamasha jaise filmo me saat kaam kiya hai. Ranbir aur Deepika breakup ke baad bhi ek aache dost hai. Dono haal hi me ek paint company ke advertisment me nazar aaye the. Luv Ranjan ki untitled film me ye dono main lead me hai aur saat hi is film me Ajay devgan sir ka bhi ek important role hai. Ye film is saal ke last tak floor pe aayegi. Aur agle saal bade parde pe release hogi.

QSCV FORMULA BY MACDONALD

Aap logo ko batana chahuga ki World ka sabse bada burger brand MACDONALD salo se QSCV formule pe work krta aa rha hai. Yu mano ki inki safalta me is formule ka bht bada haat hai. Ab ye hota kya hai yehi me apko aage batane wala hu. Is formule ko samaj ke ap log isko apne business me bhi try kr sakte ho, aur is baat ki puri guarantee hai ki is formule se apka business 100% Grow karega jaise ki MACDONALD walo ka hua hai. (Note : Ye formula mainly food industry me use hota hai) Q= Quality (MACDONALD kabhi bhi apni quality ke saat comprise nhi krta hai kyuki uske liye sabse important apne customer ka experience hi hai. Ye har baar apne customers ka experience aur aacha krta aa rha hai. Yha ka Burger kha ke koi ye nhi bol sakta ki quality khrab hai. Agar ap logo ne MacDonald ka burger kahaya hai toh apko already pata hoga inki quality ke bare me.) S= SERVICE (MACDONALD ke safal hone ka ye bhi  ek bht bada reason hai ki MacDonald ki service bht fast hai 3min me burger bana ke cu...