Trading 4 trah ki hoti hai :-
1- Scalp trading
2- Intraday trading
3- Swing trading
4- Position trading
Ab mein in charo trah ki trading ko explain krne ki kosis krta hun.
- Scalp reading : Is trah ki trading me hum stocks ko kuch seconds se lekar kuch minutes tak ke liye hold karte hai phir sell kar dete hai.
- Intraday trading ; Is trah ki trading me hum stocks ko ek din ke ander sell kar dete hai example ke liye jaise aaj humne koi stocks buy kiya toh usey aaj hi market close hone se phele sell kar dege.
- Swing trading ; Is trah ki trading me hum stocks ko kuch dino se lekar kuch hafto tak ke liye hold karte hai phir sell kar dete hai (minimum 5 week).
- Position trading ; is trah ki trading me hum stocks ko kuch mahino ke liye hold karke rakte hai.
Aaj kal ek tarika aur hai jo kafi popular ho rha hai jisko bolte hai BTSL (Buy today Sell Tomorrow).
Traders apni investing strategy banane ke liye Technical analysis ka use karte hai.
Technical analysis me price aur volume ke pattern ko aur stocks ki supply aur demand ko analysis kiya jata hai. Technical analysis me aur bhi kai sare parameters ko dekha aur samjha jata hai. Is topic ko samjhane ke liye mein jald hii ek blog leke aaunga.
Ab hum baat karege INVESTMENT ki ;-
Jo log stock market me long term ke liye invest karte hai unko investors khete hai. Investors buy and hold approach ka use karte hai wahi trader buy and sell approach ka use krte hai.
Investors kisi bhi company me investment karne se phele us company ka fundamental analysis karte hai. Fundamental analysis bhi technical analysis ki trah ek bahut bada topic hai isko samjhane ke liye bhi mujhe ek detail alag se blog leekhna hoga and mein jald hii in dono topic pe seperate detail me blog leke aauga.
Investing 2 trah ki hot hai :-
1- Value investimg
2- Growth investing
TAXATION :-
Trading me hum stocks ko kam samay ke liye hold karte hai isliye hume trading me SHORT TERM CAPITAL GAIN TAX dena hota hain.
INTRADAY TRADING me ye applicable nhi hota hai. Intraday me slab ke hisab se profit pey tax pay karna hota hain.
I hope aap logo ko mere is blog se value mili hogi. Agar aap logo ko stocks market aur investment me interest hai & aap log yese aur blog read krna chahate hai toh mujhe comment section me bataye mein yese aur blog leke aauga aur agar apke koi douth ya sawal hai toh aap comment section me mere se puch sakte hai.
Comments
Post a Comment