Skip to main content

Posts

Showing posts from December, 2019

5 HABITS OF ENTREPRENEURS

1) Time management Time management kitna jaruri hai wo to mujhe aapko batane ki jarurat nahi hai. Aap sabhi Time ki importance bahot ache se jaante hain. Time management ko leke mtlb ki apne din ko kaise manage kare ki aapke time ka jada se jada productive use ho sake, ispar detail me pichle blogs me baat ki hui hai aap waha se padh sakte hain. 2) Don’t Procrastinate Waise to Procrastination Time Management ka hi part hai, Pr ye topic khud apne aap me itna importat hai ki isko bhi alag se hi mention kiya hai. Sach kahu to mujhe procrastination aaj ki sabse badi bimari lagti hai, jiska shikaar aaj har koi hai. Apna har kaam time pr hi pura kar le, baad ke liye bilkul na chode. Kaam aage ke liye taalkar apne liye bewajah ki aur tension na badhae. Aapke jeevan ki aadhi mushkile aadhi tension to aise hi khatam ho aajaegi procrastinate na kar ke. 3) Learn to Say NO Jitna ki new opportunities ko haan bolna jaruri hai to kabhi kabhi na bolna bhi utna hi jaruri hai. Aapko apni priorities pata ...

5 STEPS TO INCREASE YOUR PRODUCTIVITY BY 10×

Increase your Prodcuctivity by 10x. Is blog me hum in steps ko short me jaanenge, detailed me har ek step ko alag se blog me cover kiya jaega. 1st Step-  Set Goals :- Sabse pehla aur important step aur sabse jada neglected bhi- Goals Setting. Agar aap kahin jane ke liye ghar se nikalte hain to jahan jaana hai uska address malum karke hi nikalte hain n, aisa to nai hota n kabhi ki kahan jana hai pata nahi aur ghar se nikal gaye jaane ke liye. Aisa hoga to kahi pahuchoge? Ya chalte chalte hi bhatak jaoge?  Aapko apni life me kya krna hai sabse pehle wo jaane, agar nahi bhi samajh aarha hai abhi to koi chota goal apne liye banaiye ki mujhe ye chahiye ya ye karna hai. Ab wo kuch bhi ho sakta hai chahe apke business ke saal ka turnover, ya students ke liye kisi subject me performance, ya aapki field se related ya health se related ya kuch bhi. Ye aapko apne liye khud hi tay karna hoga.  2nd Step- Planning :- Ab jo aapne 1st Step me Goal decide kiya tha, usko kaise achieve karn...